A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Ab kis ka jashn manaatey ho, us dais ka jo taqseem hua
Ab kis ka geet sunaatey ho, us tun mun ka jo do-neem hua

Us ka khwaab ka jo raiza raiza un ankhon ki taqdeer hua
Us naam ka jo tukraa tukraa galiyon mein bey-tauqeer hua

Us parcham ka jis ki hurmat bazaaron mein neelaam hui
Us mitti ka jis ki hurmat munsab udu k naam hui

Us jang ko jo tum haar chukey, us rasm ka jo jaari bhi nahi
Us zakhm ka jo seenaey pe na thaa, us jaan ka jo waari bhi nahi

Us khoon ka jo bud-qismat tha, raahon mein bahaaya, tun mein raha
Us phool ka jo bey-qeemat tha, aangan mein khilaaya, bun mein raha

Us mashriq ka jis ko tum ne naizey ki anee marham samjha
Us maghrib ka jis ko tum ne jitna bhi loota, kam samjha

Un maasoomon ka jin k lahoo se tum ne farozaan raatein keen
Yaa un mazloomon ka jis ne khanjar ki zubaan mein baatein keen

Us Mariyam ka, jis ki izzat lut-ti hai bharey baazaaron mein
Us Eesa ka jo qaatil hai aur shaamil hai gham-khuaaron mein

In nohaagaron ka jin ne hamein khud qatal kiya, khud rotey hein
Aisey bhi kaheen dum-saaz huey, aisey jallaad bhi hotey hein

Un bhookey nangey dhaanchon ka jo raqs sar-e-bazaar karein
Yaa un bey-bas laachaaron ka, jo aur bhi dukh ka nishaana huey

Is shaahi ka jo dast-ba-dast aai hai tumharey hissey mein
Kiu nang-e-watan ki baat karo, kia rakha hai is qissey mein

Aankhon mein chupaaey ashkon ko honton mein wafa ke bol liye
Iss jashn mein bhi shaamil hun, nohon se bhara kashkol liye

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]