A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Baaeecha-e-atfaal hai duniyaa mere aagey
Hota hai shab-o-roz, tamaasha mere aagey

Ik khel hai aurang-e-sulaimaan mere nazdeek
Ik baat hai aijaaz-e-maseeha mere aagey

Juz naam nahi soorat-e-aalaam mujhe manzoor
Juz wehem nahi nastee-e-ashiyaa mere aagey

Hota hai nehaan gard mein sehraa mere hotey
Ghitaa hai jabeen khaak pe dariyaa mere aagey

Mat puch ke kia haal hai mera tere peechey
Tu dekh k kia rung hai tera mere aagey

Sach kehte ho khud-been-o-khud-araa hun na kiun hun
Baitha hai but-e-aaina seema mere aagey

Phir dekhiye andaaz-e-gul-afshaani-e-guftaar
Rakh dey koi paimaana-e-sahba mere aagey

Nafrat ka gumaan guzrey hai, mein rashk se guzraa
Kiun kar kahun lo naam na us ka mere aagey

Hai mauj-zan ik qulzum-e-khoon, kaash yahi ho
Aata hai abhi dekhiye kia kia mere aagey

Go haath ko jumbish nahi, aankhon mein tou dum hai
Rehney do abhi saagar-o-meena mere aagey

Hum-paisha-hum-mashrab-o-hum-raaz hai mera
Ghalib ko bura kiun kaho, acha mere aagey

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]