A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Han dil-e-dard-mund zamzama saaz
Kiu na kholey dar-e-khazeena-e-raaz

Khammey ka safhey par ravaan hona
Shaakh-e-Gul ka hai gul-fishaan hona

Mujh se kia poochta hai kia likhiye
Muqta-haaey khirad-fishaan likhiye

Barey aamon ka kuch bayaan ho jaaey
Khaama nasl-e-ratab-fishaan ho jaeaey

Aam ka kaam mard-e-maidaan hai
samar-o-shaakh, goov-o-chaughaan hai

Taak ke jee mein kiun rahey armaan
Aaey, ye guvi aur ye maidaan

Aam ke aagey paish jaawey khaak
Phorata hai jaley phapholey taak

Na chala jab kisi tarah maqdoor
Badaa-e-naab ban gaya angoor

Ye bhi naa chaar jee ka khona hay
Sharm se paani paani hona hai

Mujh se pucho, tumhein khabar kia hay
Aam k aagey naishakar kia hay

Na gul uss mein, na shaakh-o-burg, na baar
Jab khizaan aaey, tab ho us ki bahaar

Aur do-daai qayaas kahan
jaam-e-shireen mein ye mithaas kahan

Jaam mein hoti gar ye shireeni
'Kohakan' bewujood-e-ghamgeeni

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]