A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Be-Aitadaaliyon se subak sab mein hum huey
Jitne ziyaada ho gaye utney hi kam huey

Pinhaan tha daam sakht qareeb aashiyaan ke
Urney na paaey thay ke gireftaar hum huey

Hasti hamari apni fanaa par daleel hai
yaan tak mittey ke aap ham apni qasam huey

Teri wafa se kia ho talaafi ki dahar mein
Tere siwa bhi hum pe bohot sey sitam huey

Likhtey rahey junoon ki hikaayaat-e-khoon-chakaan
har-chund iss mein haath hamarey qalam huey

Allah re teri tundi-e-khoo, jis k beem se
Azza-e-naala dil mein mere rizq-e-hum huey

Ahl-e-hawas ki fatah hai tark-e-nabard-e-ishq
Jo paaun uth gaey wohi un k alam huey

Naal-e-adam mein chand hamare sapurd thay
Jo waan na khinch sakey so wo yahan aa ke dum huey

Chori Asad na hum ne gadaai mein di-lagi
Saa'il huey tou aashiq-e-ahl-e-karam huey

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]