A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Chahiye achon ko jitna chahiye
Ye agar chaahein tou phir kia chahiye

Sohbat-e-rindaan se waajib hay hazar
Jaa-e-mae apney ko khaincha chaahiye

Chahney ko tere kia samjhaa tha dil
Baarey ab si se bhi samjha chaahiye

Chaahney ko tere kia samjha tha dil
Baarey ab is se bhi samjha chahiye

Chaak mat kar jaib bhi, aiyyaam-e-gul
Kuch udhar ka bhi ishaara chaahiye

Dosti ka pardah hai baigaanagi
Munh chupaana ham se chorra chaahiye

Duhmani mein meri, khoya ghair ko
Kis qadar dushman hai dekha chaahiye

Apni ruswaai mein kia chalti hai sa'ee
Yaar ki hangaama-aari chaahiye

Munhashir marne pe ho jis ki ummeed
Na-ummeedi us ki dekha chaahiye

Ghaafil inn mahtal'aton k waastey
Chaahney wala bhi acha chaahiye

Chaahtey hein khoobroo'on ko Asad
Aap ki soorat ko dekha chaahiye

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]