A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Dil mera soz-e-nehan se bey-mohaaba jal gaya
Aatish-e-Khamosh k maanind goya jal gaya

Dil mein zauq-e-wasl-o- yaad-e- yaar tak baaqi nahi
Aag is ghar mein lagi aisi k jo thaa jal gaya

Main adam se bhi parey hun, warna ghaafil baaraha
Meri aah-e-aatasheen se baal-e-manqa jal gaya

Ar kijye johar-e-andaish ki garmi kahan
Kuch khayaal aaya tha wahshat ka, key sehara jal gaya

Dil nahi tujh ko dikhaata warna daaghon ki bahaar
Iss charaghaan ka karun kia, kaarfarma jal gaya

Mein hun aur afsurdagi ki arzoo Ghalib k dil
Dekhh kar tar-e-tapaak-e-ehl-e-duniya jal gaya

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]