A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Arz-e-neyaaz-e-ishq k qaabil nahi raha
Jis dil pe naaz tha mujhe, wo dil nahi raha

Jaata hun daagh-e-hasrat-e-hasti liay huey
Hun Shamm-e-kushta, darkhur-e-mehfil nahi raha

Marne ki aey dil, aur hi tadbeer kar ke main
Shayaan-e-dast-o-baazu-e-qaatil nahi raha

Ba-roo-e-shaah jehat dar-e-aainabaaz hai
Yaan imtiaz-e-naaqis-o-qaamil nahi raha

Waa kar diye hein shauq ne, band-e-naqaab-e-husn
Ghair az nigaah ab koi haael nahi raha

Go main raha raheen-e-sitam haaey rozgaar
Lekin tere khayaal se ghaafil nahi raha

Dil se hawa-e-kisht-o-wafa mitt k waan
Haasil siwaaey hasrat-e-hasil nahi raha

Bedaad-e-ishq se nahi darta magar Asad
Jis dil pe naaz tha mujhe, wo dil nahi raha

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]