A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Dil se teri nigaah jigar tak utar gaee
Donon ko ik adaa mein raza-mund kar gaee

Shaq ho gaya hai seena khushaa lazzat-e-faraagh
Takleef-e-pardah-daari-e-zakhm-e-jigar gaee

Wo badaa-e-shabaana ki sar-mastiyaan
Uthiye bas ab ke lazzat-e-khuaab-e-seher gaee

Urti phirey hai khaak meri koo-e-yaar mein
Baarey ab aai hawa, hawas-e-baal-o-par gaee

Dekho tou dil-faraibi-e-andaaz-e-naqsh-e-paa
Mauj-e-khiraam-e-yaar bhi kia gul katar gaee

Har bulahawas ne husn-parasti shu'aar ki
Ab aabroo-e-shiva-e-ahl-e-nazar gaee

Nazaarey ne bhi kaam kiya waan naqaab ka
Masti se har nigaah tere rukh par bikhar gaee

Farda-o-deen ka tafarruqa yak-baar mitt gaya
Kal tum gaey k hum pe qayaamat guzar gaee

Maara zamaaney ne Asad Ullah Khan tujhe
Wo walwaley kahaan, wo jawaani kidhar gaee

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]