A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Diya hai dil agar us ko, bashar hai kia kahiye
Hua raqeeb hai tou ho, naamabar hai kia kahiye

Ye zidd key aaj naa aavey aur aaey bin na rahey
Qazaa se shikwa hamein kis qadar hai kia kahiye

Rahey hein yuun gaah-o-begaah ke koo-e-dost ko ab
Agar na kahiye ke dushman ka ghar hai, kia kahiye

Zah-e-karishma ke yun dey rakha hai hum ko faraib
Ke bin kahey hi unhein sab khabar hai kia kahiye

Samajh ke kartey hein bazaar mein wo pursish-e-haal
Ke ye kahey ke sar-e-rahguzar hai kia kahiye

Kahaa hai kis ne ke Ghalib bura nahi lekin
Siwaaey is ke, ke aashufta-sar hai, kia kahiye

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]