A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Gaee wo baat ki ho guftagu tou kiun kar ho
Kaheen se kuch na hua, phir kaho tou kiun kar ho

Hamarey zehen mein is fikar ka hai naam visaal
Ke gar na ho tou kahan jaaein, ho tou kiun kar ho

Adab hai aur yahee kash-makash tou kia ki jiye
Hayaa hai aur yahee go-mago tou kiun kar ho

Tumhi kaho k guzaara sanam-paraston ka
Butoon ki ho agar aisi hi khoo tou kiun kar ho

Ulajhtey ho tum agar dekhtey ho aaina
Jo tum se sheher mein ho aik, do tou kiun kar ho

Jisey naseeb ho roz-e-siyaah mera saa
Wo shakhs din na kahey raat ko, tou kiu kar ho

hamein phir un se ummeed aur unhein hamaari qadr
Hamaari baat hi puchey na wo tou kiun kar ho

Ghalat na tha hamein khat par gumaan tassalli ka
Na maaney deeda-e-deedaar jun tou kiun kar ho

Bataao us mishaa ko dekh kar ho mujh ko qaraar
Ye naish ho rag-e-jaan mein faro tou kiun kar ho

Mujhe junoon nahi Ghalib, waley baqaul-e-huzoor
Firaaq-e-yaar mein taskeen ho tou kiun kar ho

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]