A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Ghair lein mehfil mein bosey jaam ke
Hum rahein yun tashnaa-lub paighaam ke

Khastagi ka tum se kia shikwa ke ye
Huth-kandey hein charkh-e-neeli-faam ke

Khat likhein gey garchey matlab kuch na ho
Hum tou aashiq hein tumhare naam ke

Raat pi zam-zam pe mae aur subh-dum
Dhoey dhabbey jaamaa-e-ahraam ke

Dil ko aankhon ne phansaaya kia magar
Ye bhi halqay hain tumharey daam ke

Shaah ke hay ghusl-e-sehat ki khabar
Dekhiye din kab phiren hammaam ke

Ishq ne Ghalib nikamma kar diya
Warna hum bhi aadmi thay kaam ke

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]