A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Gham-e-dunya se gar paai bhi fursat sar uthaaney ki
Falak ka dekhna taqreeb tere yaad aaney ki

Khulega kis tarah mazmoon mere maktab ka yaaro
Qasam khaai hay us kaafir ne kaghaz k jalaaney ki

Lipatna paraaniyaan mein shola-e-aatish ka asaan hay
Wale mushkil hay hikmat dil mein soz-e-gham chupaaney ki

Yun hi manzoor apne zakhmiiyon ka dekh aana tha
Uthey thay sair-e-gul ko dekhna shokhi bahaney ki

Hamari saadagi thi iltifaat-e-naaz par marna
Tera aana na tha zaalim, magar tamheed jaaney ki

Laqad kob-e-hawaadis ka tahammul kar nahi sakti
meri taaqat, ke zaamin thi buton k naaz uthaaney ki

Kahun kia khoobi-e-auzaag-e-ibna-e-zamaan Ghalib
Bari ki us ne, jis se hum ne ki thi baaraha naiki

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]