A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Muddat hui hay yaar ko mehmaan kiye huey
Josh-e-qadah se bazm charaaghaan kiye huey

Karta hun jama phir jigar-e-lakh-lakht ko
Arsaa hua hay daawat-e-mizshgaan kiye huey

Phir waza-e-ehtiyaat se rukne laga hai dum
Barson huey hein chaak girebaan kiye huey

Phir garm naala haaey, sharar baar hay nafas
Muddat hui hay sair-e-charaaghaan kiye huey

Phir pursish-e-jarahat-e-dil ko chalaa hay ishq
Samaan-e-sud-hazaar namak-daan kiye huey

Phir bhar raha hun khaana-e-mizshgaan ba-khoon-e-dil
Saaz-e-chaman-taraazi-e-damaan kiye huey

Bahin digar huey heni dil-o-deeda phir raqeeb
Nazaara-o-khayaal ka samaan kiye huey

Dil phir tawaafe-koo-e-malaamat ko jaaey hai
Pindaar ka sanam kadah weeraan kiye huey

Phir shauq kar raha hai khareedaar ki talab
arz-e-mataa-e-aql-o-dil-o-jaan kiye huey

Daurey hai phir har aik gul-o-laala par khayaal
Sud gul sitaan nigaah ka samaan kiye huey

Phir chaahta hun namaa-e-dildaar kholna
Jaan nazr-e-dil Ferobi-e-unwaan kiye huey

Maangey hai phir kisi ko lub-e-baam par hawas
Zulf-e-siyaah rukh pe paraishaan kiye huey

Chaahey ksi ko phir muqaabil mein aarzuu
Surmey se taiz dashnaa-e-mizshgaan kiye huey

Ik nau bhaar-e-naaz ko taakey hay phir nigaah
Chehra furoogh-e-mae se gulistaan kiye huey

Phir jee mein hay ke dar pe kisi k parey rahein
sar zar bar-e-minnat-e-darbaan kiye huey

Jee dhundta hai phir wohi fursat ke raat din
Bethay rahein rasawwur-e-jaanaa kiye huey

Ghalib hamein na chair, k phir josh-e-ashq se
Bethay hein hum tahaiyya-e-tuufaan kiye huey

1 comment:

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]