A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Har tamaashaai faqat saahil se manzar dekhta
Kaun dariyaa ko ulat-ta, kaun gauhar dekhta

Wo tou duniyaa ko meri deewaanagi khush aa gai
Tere haathon meinn wagarna pehlaa pathar dekhta

Aamkh mein aansoo jadey thay, par sada tujh ko na di
Iss tawaqau par k shayad tu palat kar dekhta

Meri qismat ki lakeerein mere haathon mein na theen
Tere maathey par koi mera muqaddar dekhta

Zindagi phaili hui thi shaam-e-hijraan ki tarah
Kis ko itnaa hausala tha kaun jee kar dekhta

Doobney waala tha aur saahil pe chehron ka hujoom
Pal ki mohlat thi main kis ko aankh bhar kar dekhta

Tu bhi dil ko ik lahuu ki hoond samjha hai Faraz
Aankh far hoti tou qatrey mein samandar dekhta

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]