A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Hawa ke khauf se pindaar-e-baam-o-dar bhi gaya
Chirraagh ko jo bachatey thay un ka ghar bhi gaya

Pukaartey rahey mehfooz kashtiyon waley
Main doobta hua dariyaa ke paar utar bhi gaya

Ab ehtiyaat ki deewaar kia uthaatey ho
Jo chor dil mein chupa tha wo kaam kar bhi gaya

Main chup raha ke is mein thi aafiyat jaan ki
Koi tou meri tarah tha jo daar par bhi gaya


Sulagtey sochtey weeraan mausamon ki tarah
Kara tha ahd-e-jawaani magar guzar bhi gaya

Jisey bhulaa na saka, us ko yaad kia rakhta
Jo naam dil mein raha, zehen se utar hi gaya

Phati phati hui aankhon se yun na dekh mujhe
Tujhe talaash hai jis ki, wo shaks mar bhi gaya

Magar falak ki adaawat usi ke ghar se na thi
Jahaan Faraz na tha, saahil-e-gham udhar bhi gaya

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]