A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Iss daur-e-bey-junoon ki kahaani koi likho
Jismon ko burf, khoon ko paani koi likho

Koi kaho ke haath qalam kis tarah huey
Koi ruk gaey qalam ki rawaani, koi likho

Kiun ahl-e-shauq sar-ba-giraibaan hain dosto
Kiun khoon-ba-dil hai, ahd-e-jawaani koi likho

Kiu surma-dar-guloo hai har aik taayar-e-sikhan
Kiun gulistaan qafas ka hai saani koi likho

Haan taza saanehon ka karey kaun intezaar
Haan dil ki waardaat puraani koi likho

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]