A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Inhi khush-gumaaniyon mein kahin jaan se bhi na jaao
Wo jo chaarah-gar nahi hai, usey zakhm kiun dhikaao

Ye udaasiyon ke mausam, kahin raaegaan na jaaein
Kisi zakhm ko kuraido, kisi dard ko jagaao

Wo kahaniyaan adhoori jo na ho sakeingi puri
Unhein main bhi kin sunaaun, unhein tum bhi kiun sunaao

Mere hum-safar puraaney, mere a bhi muntazir hain
Tumein saath chorna hai, tou abhi se chor jao

Ye judaaiyon ke rastey, bari duur tak gaey hein
Jo gaya wo phir na lauta, meri baat maan jaao

Kisi bey-wafa ki khaatir, ye junoon Faraz kab tak
Jo tumhein bhula chuka hai, usey tum bhi bhool jaao

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]