A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Jis simt bhi dekhun nazar aata hai ke tum ho
Aey jaan-e-jahaan ye koi tum sa hai ke tum ho

Ye khwaab hai, khusboo hai, ke jhonka hai ke pal hai
Ye dhund hai, baadal hai, ke saaya hai ke tum ho

Iss deed ki saa'at mein kaee rung hein larzaan
Main hun ke koi aur hai, duniya hai k tum ho

Dekho ye kisi aur ki aankhein hein ke meri
Dekhun ye kisi aur ka cehraa hai ke tum ho

Ye umr-e-guraizaan kabhi thehrai tou ye jaanun
Har saans mein mujh ko ye lagta hai k tum ho

Har bazm mein mauzoo-e-sukhan dil-zadgaan ka
Ab kaun hai, shireen hai, ke laila hai ke tum ho

Ik dard ka phela hua sahaara hai k mein hun
Ik mauj mein aaya hun, dariyaa hai k tum ho

Wo waqt na aaye ke dil-e-zaar bhi sochey
Is sheher mein tanhaa koi hum sa hai ke tum ho

Aabaad hum aashuftaa saron se nahi maqral
Ye rasm abhi sheher mein zinda hai ke tum ho

aai jaan-e-Faraz itni bhi taufeeq kisey thi
Hum ko gham-e-hasti bhi gawaara hai k tum ho

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]