A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Juz tere koi bhi din raat na jaaney mere
Tu kahaan hai magar aae dost puraaney mere

Tu bhi khusboo hai magar mera tajassus bekaar
Barq-w-aawaara ki maanind thikaaney mere

Shama'a ki lau thi ke wo tu tha magar hijr ki raat
Dair tak rota raha koi serhaaney mere

Khalq ki bey-khabri hai ke meri ruswaai
Log mujh ko hi sunaatey hain fasaaney mere

Lut ke bhi khush hun e aankhon se bhara hai daaman
Dekh ghaarat-gar-e-dil ye bhi khazaaney mere

Aaj ik aur baras beet gaya us ke baghair
Jis ke hotey huey hotey thay zamaaney mere

Kaash tu bhu meri awaaz sunta ho
Phir pukaarey hai tujhe dil ki sada ne mere

Kaash tu bhi kabhi aa jaey maseehaai ko
Log aatey hain bohot dil ko dukhaaney mere

Kaash auroin ki tarah main bhi keh sakta
Baat sun li hai meri aaj Khuda ne mere

Tu hai kis haal mein aey zood-faraamosh mere
Mujh ko tou cheen liya ahd-e-wafa ne mere

Charaah-gar yun tou bohot hain magar aai haan-e-Faraz
Juz tere aur koi gham na jaaney mere

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]