A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Karun na yad agar, kis tarah bhulaaun usey
Ghazal bahaana karun aur gun-gunaaun usey

Qo khaar khaar hai shaakh-e-gulaab ki maanind
Main zakhm zakhm hun phir bhi galey lagaaun usey

Ye log tazkarey karte hein apney logon ke
Main kesey baat karun aur kahan se laaun usey

Magar wo zood-faraamosh zood-runj bhi hai
Ke rooth jaaey agar yaad kuch dilaaun usey

Wohi jo daulat-e-dil hai wohi jo raahat-e-jaan hai
Tumhaari baat pe aey naaseho, ganwaaun usey

Jo hum-safar sar-e-manzil ichar raha hay Faraz
Ajab nahi ke agar yaad bhi na aaun usey

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]