A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Kathin hai raah-guzar, thori duur saath chalo
Bohot bara hai safar, thori duur saath chalo

Tamaam umar kahaan koi saath deta hai
Main jaanta hun, magar thori duur saath chalo
Nashey mein choor hun main bhi, tumhein bhi hosh nahi
Bara maza ho agar thori duur sath chalo

Ye aik shab ki mulaqaat bhi ghaneemat hai
Kisey hai kal ki khabar, thori duur saath chalo

Abhi tou jag rahey hain chiraagh raahon ke
Abhi hai duur sahar, thori duur saath chalo

Tawaaf-e-manzil-e-jaanaan hamein bhi karna hai
Faraaz tum hbi magar thori duur saath chalo

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]