A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Khaamosh ho kiun daad-e-jafa kun nahi detey
Bismil ho tou qaatil ko dua kiun nahi detey

Wehshat ka sabab roozan-e-zindaan tou nahi hai
Mahr-o-maah-o-anjum ko bujhaa kiun nahi detey

Ik ye bhi tou andaaz-e-ilaaj-e-gham-e-jaan hai
Aae charaah-garo dard barha kiun nahi detey

Munsif ho agar tum tou kab insaaf karo gey
Mujrim hain agar hum tou saza kiun nahi detey

Rahzan ho tou haazir hai mataa-e-dil-o-jaan abhi
Rahbar ho tou manzil ka pata kiun nahi detey

Kia beet gai ab ke Faraaz, ahl-e-chaman par
Yaaraan-e-qafas mujh ko sadaa kiun nahi detey

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]