A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Koi ummeed bar nahin aati
Koi soorat nazar nahi aati

Maut ka aik din mauai-yin hay
Neend kiun raat bhar nahhi aati

Aagey aati thi haal-e-dil pe hansi
Ab kisi baat par nahi aati

Jaanta hun sawaab-e-taa'at-o-zohod
Par tabiat udhar nahi aati

Hai kuch aisi hi baat jo chup hun
Warna kia baat kar nahi aati

Kiun na cheekhoon k yaad kartey hein
Meri awaaz gar nahi aati

Daagh-e-dil gar nazar nahi aata
Boo bhi aey charah gar nahi aati

Hum wahan hein jahan se hum ko bi
Kuch hamari khabar nahi aati

Marte hain aarzoo mein marne ki
Maut aati hay, par nahi aati

Kaabah kis munh se jao gey Ghalib?
Sharam tum ko magar nahi aati

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]