A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Dar minnat kash-e-dawa na hua
Main na acha hu, bura na hua

Jama karaatey ho kiun raqeebon ko
Ik tamaasha hua, gila na hua

Ham kahan qismat aazmaaney jaaein
Tu hi ka khanjar aazma na hua

Kitne sheereen hain tere lub kay raqeeb
Gaaliyaan kha k bey mazaa na hua

Hai khabar garm, un k aney ki
Aaj hi ghar mein briya na hua

Kia wo Namrood ki khudaai thi
Bandagi mein mera bhala na hua

Jaan di, di hui usi ki thi
Haq tou yun hai k haq adaa na hua

Zakhm gar dab gaya, lahoo na thama
Kaam gar ruk gaya, rawa na hua

Rah zani hay, k dil-sitaani hay
Ley k dil, dil-sitaan rawa na hua

Kuch tou parhiye, k log kehte hain
Aaj Ghali ghazal-sara na hua.

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]