A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Tere hotey huey mehfil mein jaltey hein charaagh
Log kia saada hain sooraj ko dikhaatey hain charaagh

Apne mehroomiyon pe sharmninda hain
Khud nahi rakhte tou auron ke bujhaatey hein charaagh

Bastiyaan chaand sitaaron pe basaaney waaley
Kurra-e-arz bujhaatey jaatey hain charaagh

Kia khabar hai un ko ke daaman bhi bharak uthtey hain
Jo zamaaney ki hawaaon se bachaatey hain charaagh

Aisi taareekiyaan aankhon mein basi hain Faraz
Raat tou raat hum din ko jalaate hain charaagh

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]