A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Teri baatein hi sunaaney aaey
Dost bhi dil hi dukhaaney aaey

Phool khiltey hain tou hum sochtey hain
Tere aaney ke zamaaney aaey

Aisi kuch chup si lagi hai jesay
Hum tujhe haal sunaaney aaey

Ishq tanhaa hai sar-e-manzil-e-gham
kaun ye bijh uthaaney aaey

Ajnabi dost hamein dekh ke hum
Kuch tujhe yaad dilaaney aaey

Dil dharakta hai safar ke hangam
Kaash phir koi bulaaney aaey

Kia kaheen phir koi basti ujree
Log kiu jashn manaaney aaey

So raho maut ke pahloo mein Faraz
Neend kis waqt na-jaaney aaey

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]