A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Us ko judaa huey bhi zamaana bohot hua
Ab kia kahein ke qissa puraana bohot hua

Dehelti na thi kisi bhi jatan se shab-e-firaaq
Ae marg-e-naagahaan tera aana bohot hua

Hum khuld se nikal tou gaey hain par aey Khuda
Itney se waaqa'ey ka fasaana bohot hua

Ab hum hain aur saarey zamaaney ki dushmani
Us se zara rabt barhaana bohot hua

Ab kiun na zindagi ko mohabbat pe waar dain
Iss aashiqi mein jaan se jaana bohot hua

Ab tak tou dil ka dil se ta'aruf na ho saka
Maana ke us se milna milaana bohot hua

Kia kia na ham kharaa huey hain magar ye dil
Aey yaad-e-yar terea thikaana bohot hua

Kehta tha naasehon se mere munh na aaeiyo
Phir kia tha aik hoo ka bahaana bohot hua

Lo phir tere labon pe usi bey-wafa ka zikr
Ahmed Faraz tujh se kahaa naa bohot hua

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]