A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Tu paas bhi ho tou dil bey-qaraar apna hai
Ke hum ko tera nahi intezaar, apna hai

Miley koi bhi tera zikr chair dete hain
Ke jesey saara jahaan raaz-daar apna hai

Wo duur ho tou bajaa tark-e-dosti ka khayaal
Wo saamney ho tou kab ikhtiyaar apna hai

Zamaaney bhar ke dukhon ko laga liya dil se
Is aasrey pe ik gham-gusaar apna hai

Faraz raahat-e-jaan bhi wohi hai kia ki jiye
Wo jis ke haath se seena figaar apna hai
 

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]