A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Aa jaaein hum nazar jo koi dam bohot hai yaan
Mohlat basaan-e-barq-o-sharar kam bohot hai yaan

Yak-lehza seena-kobi sey fursat hamein nahi
Yaani ke dil ke jaaney ka maatam bohot hai yaan

Hum rahrawaan-e-raah-e-fana dair reh chukey
Waqfa basaan-e-subah koi dam bohot hai yaan

Haasil hai kia siwaaye taraai ke deher mein
Uth aasmaan taley sey ke shabnam bohot hai yaan

Is but-kadey mein maani ka kis se karein sawaal
Aadam nahi, soorat-e-Aadam bohot hai yaan

Ajaaz-e-eesawi sey nahi behas ishq mein
Teri bhi baat jaan-e-mujassem bohot hai yaan

 Mere halaak karney ka gham hai abas tumhein
Tum shaad zindagi karo gham bohot hai yaan

Shaayad ke kaam subah tak apna khinchey na Meer
Ahwaal aaj shaam se darham bohot hai yaan


No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]