A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Aankhon mein jee mera hai idhar yaar dekhna
Aashiq ka apney aakhri deedaar dekhna

Kaisa chaman ke hum se aseeron ko mana hai
Chaak-e-qafas sey baagh ki deewaar dekhna

Aankhein churaaiyo na tuk abr-e-bahaar sey
Meri taraf bhi deeda-e-khoon-baar dekhna

Aey hum-safar na aabley ko puhunchey chashm-e-tar
Laga hai mere paaon mein aa khaar dekhna

Hona na chaar chashm dil us culm-paisha sey
Hoshiyaar zinhaar khabar-daar dekhna

Sayyad dil hai daagh-e-judaai se rashq-e-baar
Tujh ko bhi ho naseeb ye gulzaar dekhna

Gar zam-zama yahi hai koi din to hum-safeer
Is fasl hi mein hum ko gireftaar dekhna

Bul-bul hamaarey gul pe na ustaakh kar nazar
Ho jaaey ga galey ka kaheen haar dekhna

Shaayad hamaari khaak sey kuch ho bhi aey naseem
Girbaal kar ke koocha-e-dildaar dekhna

Us khush-nigaah ke ishq sey parhaiz kee jiyo Meer
Jaata hai le ke jee hi ye aazaar dekhna


No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]