A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Abhi kia kahein, abhi kia sunaaein
Ke sar-e-faseel-e-sukoot-e-jaan
Kuf-e-roz-o-shab pe sharar-numa
Wo jo hurf jurf charaagh tha
Usey kis hawa ney bujha diya

Kabhi lub hilein gey tou puchna

Sar-e-sahar-e-ahd-e-wisaal-e-dil
Wo jo nikahaton ka hujoom tha
Usey dast-e-mauj-e-firaaq ney
Tah-e-khaak kab sey mila diya

Kabhi gul khilein tou puchna

Abhi kia kahein abhi kia sunaaein
Yun hi khwaahishon ke fishaar mein
Kabhi bey-sabab kabhi bey-khalal
Kahaan kaun kis sey bichar gaya

Kabhi phir milein gey tou puchna

Art

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]