A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Bichar ke tu ne kabhi mujh sey ye bhi socha hai
Adhoora chaand bhi kitna udaas hota hai

Ye wasl ka lamha hai isey raaeygaan na samajh
Ke is ke baad wohi duuriyon ka saharaa hai

Kuch aur dair na jharta udaasiyon ka shajar
Kisey khabar tere saaey mein kaun baitha hai

Ye rakh-rakhaao mohabbat sikha gaee us ko
Wo rooth kar bhi mujhe muskura ke milta hai

Main kis tarah tujhe dekhun nazar jhijakti hai
Tera badan hai ke ye aainon ka dariya hai


No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]