Ba-rung-e-boo-o-gul iss baagh ke hum aashna hotey
Ke hum raah-e-saba tak sair kartey, aur hawa hotey
Saraapa aarzoo honey ney banda kar diya hum ko
Wagarna hum khuda thay, gar dil-e-bey-muda-aa hotey
Falak, aey kaash, hum ko khaak hi rakhta ke us mein hum
Ghubaar-e-raah hotey yaa kisi ki khaak-e-paa hotey
Ilaahi kaisey hotey hain jinhein hai bandagi khwaahish
Hamein tou sharm-daamaan-gaar hoti, Khuda hotey
Kahein jo kuch malaamat-gaar, baja hai, Meer kia jaaney
Unhein maaloom tab hota, ke wese se juda hotey

No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.