A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Baat kia aadmi ki ban aai
Aasmaan se zameem napwaai

Charakh-zan us ke waastey hai madaam
Ho gaya din tamaam, raat aai

Maah-o-khursheed-o-baad sabhi
Us ki khaatir huey hain saudaai

Kaisey kaisey kiye taraddad jab
Rung rung us ko cheez puhunchaai

Usko tarajah sab ke upar dey
Lutf-e-haq ne ki izzt afzaai

Hairat aati hai us ki baatein dekh
Khud saari, khud sataati, khud raai

Shukr ke sajdon mein ye waajib tha
Ye bhi karta sajdah jabeen saai

So tou us ki tabeeyat-e-sarkash
Sar na laai faro ke tuk laai

Meer naa-cheez musht-e-khaak Allaah
Un mein ye kibriya kahaan paai


No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]