A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Chaman mein rung-e-bahaar utra tou main ney dekha
Nazar sey dil ka ghubaar utra tou main ney dekha

Main neem-shab aazma ke hasrat ko dekhta tha
Chaman mein wo husn-zaar utra tou main ney dekha

Khumaar mein thi wo, chehra kuch aur lag raha tha
Dum-e-sahar jab kumaar utra tou main ney dekha

Gali ke baahar tamaam manzar badal gaey thay
Jo saaya ik koo-e-yaar utra tou main ney dekha

Ik aur dariya ka saamna tha Munir mujh ko
Main aik dariya ke paar utra tou main ney dekha

http://urdupoetrycity.blogspot.com/2015/04/chaman-mein-rung-e-bahaar-munir-niazi.html

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]