A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Dar ke kisi sey chup jaata hai jesey saamp khazaaney mein
Zar ke zor sey zinda hain, sab khaak ke is weeraaney mein

Jesey rasm ada kartey hon, shehron ki aabaadi mein
Subah ko ghar sey duur nikal kar, shaam ko waapas aaney mein

Neeley rung mein doobi aankhein, khuli pari thi sabzey par
Aks para tha aasmaan ka, shaayad is paimaaney mein

Dil kuch aur bhi sard hua hai, shaam-e-sheher ki raunaq mein
Kitni ziyaa bey-sood gaee hai, sheehsey ke lafz jalaaney mein

Main tou Munir aaeeney mein, khud ko tak kar hairaan hua
Ye chehra kuch aur tarah tha, pehle kisi zamaaney mein

http://urdupoetrycity.blogspot.com/2015/04/dar-ke-kisi-sey-chup-jaata-munir-niazi.html

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]