A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Chaman mein subah ye kehti thi ho kar chashm-e-tar shabnam
Bahaar-e-baagh tou yun hi rahi lekin kidhar shabnam

Arq ki boond us ki zulf se rukhsaar par tapki
Ta'ajub ke hai jaagey ye pari khurshid par shabnam

Humein tou baagh tujh bin khaana-e-maatam nazar aaya
Idhar gul phaartey thay jab, roti thi udhar shabam

Karey hai kuch na kuch taaseer sohbat saaf taabon ki
Hui aatish se gul ke batithtey rashq-e-shahar shabnam

Bhala tak subha honey do, isey bhi dekh lewein gey
Kisi aashiq ke roney se nahi rakhti khabar shabnam

Nahi asbaab kuch laazim, subak saaron ke uthney ko
Gaee dr dekhtey apney baghair az-baal-o-par shabnam

Na paaya jo gaya is baagh se har giz suraagh us ka
Na palti phir saba idhar, na phir aai nazar shabnam

Na samjha dard hum ney bhed yaan ki shaadi-o-gham ka
Saher khundaan hai kiun roti ha, kis ko yaak har shabnam

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]