A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Duniya mein kaun kanu na yak baar ho gaya
Par munh phir iss taraf na kiya, uss ne jo gaya

Phirti hai meri khaak, saba dar-ba-dar liye
Aey chashm-e-ashk-baar ye kia tujh ko ho gaya

Aagaah iss jahaan mein nahi ghair bey-Khuda
Jaaga wohi idhar se, jo moondh aankh, so gaya

Toofaan-e-Nooh ne tou daboi zameen faqat
Main nang-e-khalak saari khudaai dabo gaya

Barham kaheen na ho gul-o-bul-bul ki aashti
Darta hun aaj baagh mein wo tund kho gaya

Waaiz kisey daraawey hai yaum-e-hisaab sey
Giriyaa mera tou naama-e-aimaal dho gaya

Phoolein gey iss zubaan mein bhi gulzaar-e-maarafut
Yaan main zameen-e-shair mein ye tukhm bo gaya

Aaya na aitadaal par har-giz mizaaj-e-dehar
Main garcha garm-o-sard-e-zamaana samo gaya

Aey Dard jis ki aankh khuli iss jahaan mein
Shabnam ki tarah jaan ko apni wo ro gaya

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]