A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Dam-e-subah bazm-e-khush-jahaan shab-e-gham se kam na thi meherbaan
Ke chiraagh tha so tou dood tha, jo patung tha so ghubaar tha

Dil-e-khasta jo lahoo ho gaya tou bhala hua ke kahaan talak
Kabhi soz-e-seena sey daagh tha, kabhoo dard-o-gham se figaar tha

Dil-e-muztarib sey guzar gaee shab-e-wasl apni hi fikr mein
Na dimaagh tha, na firaag tha, na shakeb tha, na qaraar tha

Ye tumhaari in dinon dostaan mizshgaan jis ke gham mein hain khoon-chakaan
Wohi aafat-e-dil-e-aashiqaan kisoo waqt ham sey bhi yaar tha

Kabhoo jaaey gi udhar saba, tou ye kahiyo us se ke bey-wafa
Magar aik Meer-e-shikasta-paa tere baagh-e-taazah mein khaar tha


No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]