Dekh tou dil ke jaan sey uthta hai
Ye dhuaan sa kahaan sey uthta hai
Gor kis dil-jaley ki hai ye falak
Shola ik subah yaan sey uthta hai
Khaana-e-dil sey zinhaar na ja
Koi asiey makaan sey uthta hai
Naala sar khainchta hai jab mera
Shor ek aasmaan sey uthta hai
Larti hai us ki chashm-e-shokh jahan
Aik aashob waan sey uthta hai
Sudh ley ghar ki bhi shola-e-aawaaz
Dard kuch aashiyaan sey uthta hai
Baithney kaun dey hai phir us ko
Jo tere aastaan sey uthta hai
Ye dhuaan sa kahaan sey uthta hai
Gor kis dil-jaley ki hai ye falak
Shola ik subah yaan sey uthta hai
Khaana-e-dil sey zinhaar na ja
Koi asiey makaan sey uthta hai
Naala sar khainchta hai jab mera
Shor ek aasmaan sey uthta hai
Larti hai us ki chashm-e-shokh jahan
Aik aashob waan sey uthta hai
Sudh ley ghar ki bhi shola-e-aawaaz
Dard kuch aashiyaan sey uthta hai
Baithney kaun dey hai phir us ko
Jo tere aastaan sey uthta hai

No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.