Faqeeraana aaey sada kar chaley
Miyaan khush raho, hum dua kar chaley
Jo tujh bin na jeeney ko kehtey thay hum
So is ahd ko ab wafa kar chaley
Koi na-umeedaana kartey nigaah
So tum hum sey munh bhi chupa kar chaley
Bohot aarzoo thi gali ki teri
So yaan sey lahoo mein naha kar chaley
Dikhaai diye yun ke bey-khud kiya
Hamein aap sey bhi juda kar chaley
Jabeen sajdah kartey hi kartey gaee
Haq-e-bandagi hum adaa kar chaley
Parastish ki yaan taeen ke aey but tujhey
Nazar mein sabon ki Khuda kar gaey
Gaee umar dar-bund-e-fikr-e-ghazal
So is fun ko aisey badaa kar chaley
Kahein kia jo puchey koi hum sey Meer
Jahaan mein tum aaey thay, kia kar chaley
Miyaan khush raho, hum dua kar chaley
Jo tujh bin na jeeney ko kehtey thay hum
So is ahd ko ab wafa kar chaley
Koi na-umeedaana kartey nigaah
So tum hum sey munh bhi chupa kar chaley
Bohot aarzoo thi gali ki teri
So yaan sey lahoo mein naha kar chaley
Dikhaai diye yun ke bey-khud kiya
Hamein aap sey bhi juda kar chaley
Jabeen sajdah kartey hi kartey gaee
Haq-e-bandagi hum adaa kar chaley
Parastish ki yaan taeen ke aey but tujhey
Nazar mein sabon ki Khuda kar gaey
Gaee umar dar-bund-e-fikr-e-ghazal
So is fun ko aisey badaa kar chaley
Kahein kia jo puchey koi hum sey Meer
Jahaan mein tum aaey thay, kia kar chaley

No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.