A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Hamaara kia hai ke hum tou charaagh-e-shab ki tarah
Agar jaley bhi tou bas itni raushnaai hogi
Ke jaisey tund andhairon ki raah mein jugnoo
Zara si dair ko chamak chamak ke kho jaaey
Phir is ke baad kisi ko na kuch sujhaai dey
Na shab katey na suraagh-e-sahar dikhaai dey
Hamaara kia hai ke um tou pas-e-ghubaar-e-safar
Agar chaley bhi tou bas itni raahatein hon gi
Ke taiz hawaaon ki zard hawaaon ki ard maail naqsh-e-qadam
Zara si dair ko ubhrey ubhar ke mitt jaaey
Phir us ke baad na raasta, na rah-guzar miley
Hud-e-nigaah talak dasht-e-bey-kinaar miley
Hamaari simt na dekho ke koi dair mein hum
Qabeela-e-dil-o-jaan tabaah honey waaley hain
Basey basaaey huey sheher apni aankhon mein
Misaal-e-khaana-e-veeraan ujarney waaley hain
Hawa ka shor ye hi hai tou dekhtey rehna
Hamaari umar ke khaimey ukharney waaley hain


No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]