A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Hamesha dair kar deta hun main

Zaroori baat kehni ho
Koi waada nibhaana ho
Usey aawaaz deni ho
usey waapas bulaana ho
Hamesha dair kar deta hun main

Madad karni ho us ki
Yaar ki dhaaras bandhaana ho
Bohot daireena raston par
Kisi sey milney jaana ho
Hmaesha dair kar deta hun main

Badaltey mausamon ki sair mein
Dil ko lagaana ho
Kisi ko yaad karna ho
Kisi ko bhool jaana ho
Hamesha dair kar deta hun main

Kisi ko maut sey pehley
Kisi gham sey bachaana ho
Haqeeqat aur thi kuch
Us ko jaa ke ye bataana ho
Hamesha dair kar deta hun main

http://urdupoetrycity.blogspot.com/2015/04/hamesha-dair-kar-deta-hun-munir-niazi.html

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]