A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Gham ki baarish ney bhi tere naqsh ko dhoya nahi
Tu ney mujh ko kho diya, main ne tujhe khoya nahi

Neend ka halka gulaabi sa khumaar aankhon mein tha
Yun laga jaisey wo shab ko dair tak soya nahi

Har taraf deewaar-o-dar aur un mein aankhon ka hujoom
Keh sakey jo dil ki haalat, wo lub-e-goya nahi

Jurm aadam ney kiya aur nasl-e-aadam ko saza
Kaat-ta hun zindagi bhar main ne jo boya nahi

Jaanta hun aik aisey shakhs ko main bhi Munir
Gham sey pathar ho gaya, lekin kabhi roya nahi

http://urdupoetrycity.blogspot.com/2015/04/gham-ki-baarish-ney-bhi-munir-niazi.html

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]