A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Kab tak dil ki khair manaayein, kab tak raah dikhaao gey
kab tak chayn ki mohlat do gey, kab tak yaad na aap gey

Bita deed ummeed ka mausam, khaak  urti hai aankhon mein
Kab bhejo gey dard ka baadal, kab barkha barsaao gey

Ahd-e-wafa aur tak-e-mohabbat jo chaaho so aap karo
Apney bas ki baat hi kia hai, hum sey kia manwaao gey

Kis en wasl ka sooraj dekha, kis par hijr ki raat dhali
Gaisuon waley kaun thay, kia thay, un ko kia jatlaao gey

Faiz dilon ke bhaag mein hai, ghar basna bhi, lut jaana bhi
Tum us hus ke lutf-o-karam par kitne din itraao gey

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]