A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Kab yaad mein tera saath nahi, kab haath mein tera haath nahi
Sud-shukar ke apni raahon mein ab hijr ki koi raat nahi

Mushkil hein agar haalaat wahan, dil baich aaein, jaan dey aaein
Dil waalon koocha-e-jaan mein kia aisey bhi haalaat nahi

Jis dhaj se koi maqtal mein gaya, wo shaan salaamat rehti hai
Ye jaan tou aani jaani hai, iss jaan ki koi baat nahi

Maidaan-e-wafa darbaar nahiyon yaan naam-o-nasb ki puch kahaan
Aashiq tou kisi ka naam nahi, kuch ishq kisi ki zaat nahi

Agar baazi ishq ki baazi hai, jo chaaho laga do dar kaisa
Gar jeet gaey ttou kia kehna haarey bhi tou baazi maat nahi

2 comments:

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]