Meri teri nigaah mein jo laakh intezaar hain
Jo mere tere tan badan mein laakh dil figaar hain
Jo meri teri ungliyon ki bey-hisi se ab qalam nazaar hain
Jo mere tere sheher ki har ik gali main
Jo mere tere naqsh-e-paa ke bey-nishaam mazaar hain
Jo meri teri raat ke sitaarey zakhm zakhm hain
Jo meri teri subah ke gulaa chaak chaak hain
Ye zakhm saarey bey-dawa, ye chaak saarey bey-rafoo
Kisi pe raakh chaan di, kisi pe us ka lahoo
Ye hain bhi ya nahi bata
Ye hai ke mehez jaal hai
Mere tumhaarey ankaboot-e-wehem ka buna hua
Jo hai is ka kia karein
Nahi hai tou bhi kia karein
Bata, bata, bata, bata

No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.