A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Kuch pehley in aankhon aagey kia kia na nazaara guzrey tha
Kia roshan ho jaati hai gali, jab yaar hamaara guzrey tha

Thay kitney achey log ke jin ko apney gham se fursat thi
Sab puchein thay ahwaal jo koi dard ka maara guzrey tha

Ab ke tou khizaan aisi thehri, wo saarey zamaaney bhool gaey
Jab mausam-e-gul har phairey mein na aa ke dobara guzrey tha

Thi yaaron ki bohtaat tou ham aghiyaar se bhi bey-zaar na thay
Jab mil baithay tou dushman ka bhi saath gawaara guzrey tha

Ab tou hath sujhaai na dewey lekin ab se pehley tou
Aankh uthaatay hi ek nazar mein aalam saara gizrey tha

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]