A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Kuch mohtasibon ki khilwat mein, kuch waaiz ke ghar jaati hai
Hum baara-kashon ke hissey mein, ab jaam mein kam kam aati hai

Yun arz-o-talab se kab aai, dil patthar-dil paani hotey hain
Tum laakh raza ki khoo daalo, kab khoo-e-sitamgar jaati hai

Dey-daad-garon ki asti hai yaan daad kahaan fariyaad kahaan
Sar phorti phirti hai naadaan, fariyaad jo dar dar jaati hai

Haan jee ke ziyaan ki ham ko bhi tashweesh hai lekin kia ki jiye
Har rooh jo udhar ko jaati hai, maqtal se guzar kar jaati hai

Ab koocha-e-dilbar ka rah-rau rah-zan bhi baney tou baat baney
Pehrey se udoo taltey hi nahi, aur raat baraabar jaati hai

Hum ahl-e-qafas tanha bhi nahi, har roz naseem-e-subah-e-watan
Yaadon se mauttar aati hai, ashkon se munawwar jaati hai

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]