A website about Urdu poetry. We have poetry collections of Ghalib, Allama Iqbal, Faiz Ahmed Faiz, Ahmed Faraz and many others. Urdu Ghazal, sad Urdu poems and latest Urdu poetry.

Full width home advertisement

Post Page Advertisement [Top]

Phool thay, baadal bhi tha, aur wo haseen soorat bhi thi
Dil mein lekin aur hi ek shakal ki hasrat bhi thi

Jo hawa mein ghar banaaey kaash koi dekhta
Dasht mein rehtay thay par taameer ki aadat bhi thi

Keh gaya main saamney us ke jo dil ka mudd'aa
Kuch tou mausam bhi ajab tha, kuch meri himmat bhi thi

Ajnabi shehron mein rehtey umar saari kat gaee
Go zara sey faasley par ghar ke, har raahat bhi thi

Kia qayaamat hai Muneer ab yaad bhi aatey nahi
Wo puraaney aashna, jin sey hamein ulfat bhi thi

 

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Bottom Ad [Post Page]